کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Sunday, November 18, 2012

Tumhara saath mil jaye

Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi

woh kehti thi k her soorat tumhein banaon gi

nichawar khwaab ker don gi tumharay her ishaaray per

kabhi peepal ki chaaon men kabhi nadya kinaray per

tumhein thandak ata ker don gi ik barsaat ki maanand

bikhartay chaand jharnon men ujalti raat ki maanand

mujhay tum se muhabbat he men logon ko bataon gi

woh kehti thi k her soorat tumhein banaon gi

men chahon gi tumhein jaana umangon se ujaalon tak

khudi k dasht se lay ker naye janmoon k saalon tak

meri thandi si tanhaai sulagti raat jaisi ho

mujhay bas saath lay jaao bhalay baraat jesi ho

tumharay surkh jooray main hi dulhan ban k aaon gi

woh kehti thi k her soorat tumhein banaon gi…!

"Kabhi Naraz Mat Hona"

"Kabhi Naraz Mat Hona"
Gilay chahey bohat karna...!
Rulana aur bohat lardhna...!
"Suno Naraz Mat Hona"...!
Kabhi Esa jo ho jay...!
K tery Yaad sey Ghafil
Kisi Lamhe jo ho jaon...!
Bina dekhe teri surat...!
Kisi shab Mein jo so jaon...!
To Sapno mein chale ana...!
Mujhey Ehsas dila jana...!
"Suno Naraz Mat Hona"...!
Kabhi Esa jo ho jay...!
Jinhein kehna zaroori ho...!
Wo mujh se lafz kho jayen...!
"Anaa" ko beach main mat lana...!
Meri Awaz ban jana...!
"Kabhi Naraz Mat Hona"

Mudat hoi k chehra- e- yar nahi dakha,

Mudat hoi k chehra- e- yar nahi dakha,

wo ankhen nahi dekhi wo rukhsar nahi dekha,

Raat k in haseen lamhon main jab tu yad aata hay,

Yehi sochta hon akeley main k wo dildaar nahi dekha,

Bohot pur sukoon tha safar, jab pyar behad krty thay hum donu,

Her zuban se suna hum ne k in jesa pyar nahi dekha,

Kya hua k achanik tum itne badal gay".. M0H§iN.."

K hum ne kabhi pehly tum main is tarha inkaar nahi dekha.,,

Kuch Umr Ki PehLi ManziL Thi

Kuch Umr Ki PehLi ManziL Thi, Kuch Rastay Thy Anjaan Bohat, Kuch Hum Bhi PagaL Thy Lekin, Kuch Wo Bhi Thy Naadan Bohat, Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya, Ye Pyar Nahi Aasaan Bohat, Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya, Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat, Jab bikhar gaye tab ye jaana, Aaty hainn yahan [...]

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi..

WAFA HAI ZAAt AURAT KI...


Mager Jo Mard Hotay Hain,

Boht Be'dard Hotay Hain,

Kisi Bhanwray Ki Surat Gul Ki Khushbu Loot

Jatay Hain..


Suno.!

Tum Ko Qasam Meri,


Rawayat Torr Dena Tum,

Na Tanha Chhorr K Jana,

Na Ye Dil Torr K Jana,

Mager Phir Youn Hua Mohsin.!

Mujhe Anjaan Rastay Per,

Akela Chhorr Ker Us Ne,

Mera Dil Torr Ker Us Ne,

Mohabat

Chhorr Di Us Ne,"WAFA HAI ZAAT AURAT KI ,"

Riwayat Torr Di Us Ne....

Ajab Din Thay Mohabbat ke

Ajab Din Thay Mohabbat ke

 Ajab mousam thay chahat ke

Kabhi gar yad aa jayein tu palkon

par sitary jhilmilaty hain


Kisi ki yaad mein raaton ko

aksar jagna mamool tha apna

Kabhi gar neend aa jati tu

hum yeh soch lete thay


Abhi tu vo hamary wasty

roya nahi hoga

Abhi soya nahi hoga!

Abhi hum b nahi rote

Abhi hum b nahi sote


So phir hum jagte aur usko yaad karty thay

Akaile baith kar veeran dil abad karte thay

Hamare samney taaron k jhurmat

mein akaila chand hota tha


Jo uske husn k agay bohat hi mand hota tha

Falak par raqs karte an gint sitaron ko

Jo hum tarteeb dete thay

To uska naam banta tha


Hum agle roz jab milte tu guzri raat ki

har be kali ka zikr karte thay

Har ik qissa sunate thay

Kahan,kis waqt,kis tarah se

dil dharka batate thay

Main jab kehta k "jaana"Main

aaj raat ik pal b nahi soya

To wo khamosh rehti thi

Par uski neend mein doobi do jheel si aankhein

Achanak bol uthtii thin

Main jab usko batata tha

K raat ko roshan sitaron mein tumhara naam dekha hay


Tu wo kehti

Nahi tum jhoot kehty ho

Sitare main ne dekhy thay

Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha

Ajab masoom larki thi

Mujhay kehti thi

Mujhay lagta hay k ab apny sitare mil hi jayein ge


Magar usko khabar kya thi

Kinare mil nahi sakte

Mohabbat ki kahani mein

Mohabbat karne walon ke

Sitare mil nahi saktey

MUJHE AZAD KAR DO NA

*** MUJHE AZAD KAR DO NA ***


Mujhe Azad Kar Do Na

k Main Hon Qaid Barson Se

Judaii Ki Azziyat Mein

Zehar Bhar De Gi Yeh Zalim

Meri Nazuk Tabiyat Mein

Na Do Ab Hausla Mujh Ko

Bata Do Rasta Mujh Ko

Koi Bahar Nikalney Ka

Hawa Mein Phir Se Urny Ka

Mujhe Uss Des Jana Hay

Jahan Panchi Utartey Hain

Jahan Mousam Badaltey Hain

Meri Banjar Si Aankhon Mein

Meri Betaab Saanson Mein

Koi To Rung Bhar Do Na

MUJHE AZAD KAR DO NA...!!!

FARZ KARO

FARZ KARO TUM KUCH NA PAO..

APNA AAP LUTA KAR BHI

FARZ KARO KOI MUKAR HE JAYE

SACHI QASAM UTHA KAR BHI

FARZ KARO YE FARZ NA HO

SACHI IK HAQEEQAT HO

TERE ISHQ KE HAR RASTAY PE

JANA IK QAYAMAT HO

AUR SUNA HAI KE YE QAYAMAT

KHOON JIGAR KA PEETI HAI

TUM TO JAANA'N FARZ KARO GE

MUJH PAR YE SAB BEETI HAI....

Suno Jana

Suno Jana ...................!!
Judai mout hoti hai .........


Kabhi fursat mile to dekhna patton ka girna TuM,
Keh jab yeh shajir se gir kar zameen pey aan partay hai ....
...Tu kasay ronday jatay hai ?

Thathirte raat k khamosh lamhoon main,
Kisi bey bas , akeli ba wafa khamoosh larki ki
Kabhi tum siskiyaan sunna ....!!

Kabhi rukhsit k lamhon main kisi ki ankh se
Laraktay hue Ansoon ko dekhoge
To shaid jaan paaooge..

Judai mout hoti hai .......!!
Judai ...........! Mout hoti hai ...........!

kal halki halki barish thi

kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY