کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Thursday, December 13, 2012

Mujh Se Poochtey Hain Log

Mujh Se Poochtey Hain Log
Kis Liye December Mein
Yun Udas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi k Janey Ka
Sog Main Manata Hoon

Aap Mery Album Ka
Safha Safha Dekhein Ge?
Aayiee Dikhata Hoon
Zabt Aazmata Hoon

Sardion k Mausam Mein
Garam Garam Coffee k
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Koi Mujh Se Kehta Tha
Haye Iss December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mausam Hay
Kitni Yakh Hawayein Hain
Aap b Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho k Itney Bey Parwah
Jeans Aur T-Shirt Mein
Kis Mazey Se Phirtey Hain

Shaal b Mujhay Dey Di
Coat b Oorrha Dala
Phir b Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Se
Pehan Lijiye Sweater
Aap k Liye Main Ne
Bun Liya Tha Do Din Mein

Kitna Maan Tha Uss Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay

Garam Garam Coffee k
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Haath Gaal Par Rakhey
Hairat Aur TaAjjub Se
Mujh Ko Dekhti Rehti
Aur Muskura Deti

Shokh-o-Sard Lehjay Mein
Mujh Se Phir Vo Kehti Thi
Itney Sard Mausam Mein
Aadhi Sleeves Ki T-Shirt
Iss Qadar Na Itrayein
Seedhay Seedhay Ghar Jayein

Ab Ki Baar Jab Aayein
Brown Trouser K Sath
Black High Neck Pehnein
Coat Koi Dhang Ka Ley Lein
Warna Main Qasam Se Phir
Aisy Rooth Jaon Gi
Dhoondtey Hi Rahiye Ga
Samney Na Aaon Gi

Pass Baithey Abbu k
Politics Par Kijiye Garam Garam Discussion
Coffee Ley Kar Kamrey Mein
Main To Phir Na Aaon Gi
Khali Khali Nazron Se Aap In Khalaon Mein
Yunhi Taktey Rahiye Ga
Aur Bey Khayali Par Daantt Khatey Rahiye Ga

Kitni Mukhtalif Thi Vo
Sab Se Munfarid Thi Vo
Apni Aik Lagzish Se
Main Ne Kho Diya Uss Ko
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay...!!!

No comments:

Post a Comment

03457568685