Thursday, November 28, 2013

Bas aik mafi,


Bas aik mafi, hamari toba

Kabhi jo hum ab, sataein tum ko

Lo Hath jorey lo Kaan pakre

Ab or kesay mannaein Tum ko,

Tumhare Aate hi is nagar se

Mujhe raqabat c ho gai he

Me ye sharakat bhi kesy seh lon

K choo rahi hein hawaaein tum ko

Tum aina ho, or sang baari

Yahan k logon ka Mashgala he

Har ek pathar se dhaal ban kar

Bhala kahan tak bachaaein tum ko

To kya tum ab tak, Hamari nazroon

K sub taqazoon se,, Be-khabar ho

Hamein mohabbat hai tum se pyarey

Ab or kesay bataaein tum ko,

Bataein tum ko bichertey lamhey

Labbon ki larzish ka kya sabab tha

Suna tha waqt-e-qabooliat hai

So day rahe the duaeein tum ko

Bas aik mafi, hamari toba

Kabhi jo hum ab, sataein tum ko

Lo Hath jorey lo Kaan pakre

Ab or kesay mannaein Tum ko....!

No comments:

Post a Comment

03457568685