کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید
Showing posts with label Barish Poetry. Show all posts
Showing posts with label Barish Poetry. Show all posts

Tuesday, March 18, 2014

Barishon K Mausam Men..


Barishon K Mausam Men..
Wo Jo apne Kamry Ki...
Khirkion Ko Band Kr k..
Badalon k Jaane ka....
Intezar Krte Hen...
Wo b Ik Zamane Men..
Barishon ki Boondon Se...
Khelte Rhe Hon Ge!!

Chaudhween Ki Raaton Men..
Jald Sone Walon ki...
Chandni Se Maazi Men..
Dosti Rhi Ho gi !!

Husn-o-Ishq Ki Baaten..
Aaj Waaste Jin K...
Kuch Wuq'aat Nhi Rakhteen..
Bhoole Basre Lamhon Men..
Toot Kr Kisi ko Woh...
Chahte Rhe Hon Ge !!

Wo Jo Apne Gham Per B...
Aankh Namm Nhi Krte...
Kal Kisi ki Khatir Woh...
Khoob Ro Chuke Hon Ge..!!!

Dard Aashna Ho Kr !!!
Ashk Kho Chuky Hon ge...!!!

Thursday, November 28, 2013

Baarish0n ke Mousam me,

Baarish0n ke Mousam me,

Dil ki Sarzamen0n Per,

Gard kyun Bikharti hai,

IsS tarha ke Mousam me,

Pho0l kyun nahi khiltay?

Log kyun nahi Miltay?

Kyun Faqat Ye Tanhai,

Sath Sath rehti hai,

Kyun Bichharnay Walon ki,

Yaad Sath rehti hai,

Itni Taiz Baarish Se,

Dil ke Aainay Per Se,

Aks kyun nahi Mit’tay,

Zakhm kyun nahi Dhaltay,

Baarish0n ke Mousam me,

Aankh kyun Barasti hai,

Ashq kyun nahi Thamtay,

Subah kyun nahi hoti,

Raat kyun nahi Dhalti,

Baarishon ke Mousam me.

Wednesday, November 27, 2013

Kachi umar ki Larkiyan


Sawan rut mein ghatayein jab,

Jhoom ke aati hain !

To jane dil kyun bhar bhar aata hai,

Tab woh har waqt hanse wali larki,

Barish mein bheegte bheegte !!

Apne saare aansu baha deti hai~~

Aur QehQahon Ke saath apna ek ek dukh,

Ura deti hai,

Aur koi nahi jaan pata ke,

Kachi umar ki larkiyan,

Apne dukh chupane mein,

Kitni Pakki Hoti Hain... !


Saturday, October 12, 2013

Thursday, July 25, 2013

بارش ہُوئی تو پھُولوں کے تن چاک ہو گئے

بارش ہُوئی تو پھُولوں کے تن چاک ہو گئے

موسم کے ہاتھ بھیگ کے سفّاک ہو گئے


بادل کو کیا خبر ہے کہ بارش کی چاہ میں

کیسے بلند و بالا شجر خاک ہو گئے


جگنو کو دن کے وقت پرکھنے کی ضد کریں

بچے ہمارے عہد کے چالاک ہو گئے


لہرا رہی ہے برف کی چادر ہٹا کے گھاس

سُورج کی شہ پہ تِنکے بھی بے باک ہو گئے


بستی میں جتنے آب گزیدہ تھے سب کے سب

دریا کے رُخ بدلتے ہی تیراک ہو گئے


سُورج دماغ لوگ بھی ابلاغِ فکر میں

زُلفِ شبِ فراق کے پیچاک ہو گئے


جب بھی غریبِ شہر سے کُچھ گفتگو ہُوئی

لہجے ہَوائے شام کے نمناک ہو گئے —

Saturday, June 15, 2013

بارش کی طرح

بارش کی طرح جب بوندوں نے دستک دی دروازے پر

محسوس ہوا تم آئے ہو، انداز تمہارے جیسا تھا


ہوا کے ہلکے جونکے نے جب آہٹ کی کھڑکی پر

محسوس ہوا تم چلتے ہو، انداز تمہارے جیسا تھا


میں نے بوندوں کو اپنے ہاتھ پر ٹپکایا تو

اک سرد سا احساس ہوا، لمس تمہارے جیسا تھا

Thursday, December 27, 2012

Kachi umar ki Larkiyan


Sawan rut mein ghatayein jab,

Jhoom ke aati hain !

To jane dil kyun bhar bhar aata hai,

Tab woh har waqt hanse wali larki,

Barish mein bheegte bheegte !!

Apne saare aansu baha deti hai~~

Aur QehQahon Ke saath apna ek ek dukh,

Ura deti hai,

Aur koi nahi jaan pata ke,

Kachi umar ki larkiyan,

Apne dukh chupane mein,

Kitni Pakki Hoti Hain... !






mohabbat 1 barish hai"

kabhi barish barasti hai tu mujko yaad ata hai wo aksar mujse kehta tha.

" mohabbat 1 barish hai"

sabhi pe jo barasti hai, magar phir bhe nahi hoti sabhi k waste yaksan.

kisi k waste rahat,

kisi k waste zehmat,

men aksar sochta hun ab wo mujh say theek kehta tha,


"mohabbat 1 barish hai"

sabhi pe jo barasti hai,

kabhi mujh pe bhe barsi the,

magar mere liye barish,

kabhi na ban saki rahat,

ye rahat q nahji banti?

kabhi men khud se puchoon tu,

yeh dil deta duhai hai.

kabhi kachy makaan ko bhe barish raas aye hai?

Sunday, December 2, 2012

Kahin Barish baras jaaye..

Kahin Barish baras jaaye..
Kahin Darya taras jaaye..
Kahin aa kar Ghata theray..
Tumhare or mere darmiyaa..
Aaa kar KHUDA therey..
Tou .........!!!
Uss lamhay mere jivan main..
Tum KHUDA ke baad aatey ho..
Mujey tum yaad aatey ho

Mein Har Mosaam Ka Har Har

Mein Har Mosaam Ka Har Har
Päl Tumhare Naam Karta Hoon !!!

Barasta Bheegta Mosaam Hai
Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan,
Barishein,
Ghatta,
Badal,
Tumhare Naam Karta Hoon ....
Håppy Råiñy noon.

Atte ho tum barsaat mai

Atte ho tum barsaat mai
deewani mujhe banate ho
Mere bheege badan ko dekh kar
Shrarat se muskurate ho

Kapkapate is jisam ko
Apni bahon ka anchal urdate ho
Dhadkate hue humare dil ko
Apni baato se sehlate ho

Jalati hai man mai ek jawala
Jisko samjh khoob tum jaate ho
Band kar le jo hum apni ankhein
Bas hume hi dekhe jaate ho

Chum kar matha humara
Sir per rakh hath, seene se lagate ho
Sayam apne se, apna maan badate ho
Atte ho tum barsaat main, deewani mujhe banate ho

Aaj Ki Is Baarish Mei

Aaj Ki Is Baarish Mei
Phir Wohi Saa Manzar Hy
Phir Wohi Si Boondain Han
Phir Wohi Si Thandak Hy
Phir Wohi Sa Sub Kuch Hy

 Par

Aaj Ki Is Baarish Mei
Saath Tm Nhi Ho To
Aankh Nm Si Kitni Hy
Saans Tang Si Ktni Hy
Rooh Pyasi Ktni Hy
Yeh Udaasi Ktni Hy

Aaj Ki Is Baarish Mei...

wo 2005 ki barish yaad aati hai

wo 2005 ki barish yaad aati hai
sochta hun jab us shamm ke bare me
to chehre par ek mithi si muskan ter jati hai
vo barish ka alam vo bhoodo ki ladi
vo badal ka thirakna vo intezaar ki ghadi

dekhne ko milti uski bas ek jalak
usko paane ki ti meri itni lalak
dil khush hua ki ab vo roz aane lagi thi
ab to mujhe vo barish bhi bhane lagi thi

bas dekhke hi usse me khush ho jata tha
dil to kahta tha ki kah dun usse apne dil ki baat
bas mera man hi dar ke maare mujhe rok jata tha
yun to usse baat bhi hoti thi
aji baat bhi kya kahiye
me bas sunta tha aur vo bas bolti thi

na manzoor hui kismat ko meri khushi
chali gayi mere chehre se vo hasi
jab pata chala ki vo mujhse dur chali jayegi
ab to vo yaha kabhi nhi aayegi

lekin ab vo rut badalne chuki hai
ab to sard hawaye chale lagi hai
suna suna sa lagta tha alam mujhe
ab to vo shaam bhi dhalne lagi hai

ab jab bhi baraat aati hai
to yaadein taza ho jati hai
dil me dard uthta hai
aur ankhe nam ho jati hai
baraat me jab bhi me ghoomta hun
to dukh ke ek-do ansu ro leta hun
taki koi agar mujhe pehchan bhi lega
to mere ansuo ko bhi barish ki boond hi samjhega

sochta hun vo shaam phir kabhi to aayegi
vo ghata kabhi to chhayegi
sochta hun vo barish phir kabhi to aayegi
phir se vo mithi si muskaan tar jayeg

Barish Ki Yeh Pehli Boondein

Barish Ki Yeh Pehli Boondein

Kaisa Jadu Karti Hain ..!!

Dil Se Khoon Ke Katre Le Kar

Meri Aankhein Bharti Hain

Barish Ke Is Dareeche Se

Kitne Manzar Khulte Hain ..!!

Khwaab Sa Aalam

Lehja Madham

Aankhein Nam Nam

Bheega Mausam

Pehli Barish

Pehli Khwaahish

Pehla Jazba

Pehla Waada

Pehli Khushbu

Pehla Aansu

Chup Chup Rehna

Soch Mein Parrna

Jo Bhi Kehna Tishna Kehna

Toota Fiqra

Aadha Jumla

Jalti Saansien

Thandi Aahein

Bojhal Palkein

Sahir Aankhein

Dhani Jora

Sabz Dupatta

Lambey Gaisu

Qatil Khushboo

Ik Pehar Mein

Ik Jag Beeta

Main Ne Tera Baazu Thama

Wisal Ki Is Pehli Barish Mein

Kya Kuch Khoya

Kya Kuch Paaya ..

Barish Ki Yeh Pehli Boondein

Kaisa Jaadu Karti Hain ..!!

Barish Ki Ye Pehli Boondein

Barish Ki Ye Pehli Boondein
 Kaisa Jadu Karti Hain
 Dil Se Khoon Ke Katre Le Kar
 Meri Ankhein Bharti Hain
 Barish Ke Is Dibache Se
 Kitne Manzar Khulte Hain
 Khwab Sa Alum, Lehja Madham,
 Aankhein Nam Nam, Bheega Mausam,
 Pehli Barish, Pehli Khwahish,
 Pehla Jazba, Pehla Waada,
 Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,
 Chup Chup Rehna
 Soch Mein Parna
 Jo Bhi Kehna Tashna Kehna
 Toota Fuqra, Aadha Jumlaa,
 Jalti Sansein, Thandi Aahian,
 Bojhal Palkain, Saahir Aankhein,
 Dhani Jora, Sabz Dupatta,
 Lambe Gaisoo, Qatil Khushboo,
 Ik Pehar Mein
 Ik Jag Beeta
 Maine Tera Bazoo Thama
 Wasal Ki Is Pehli Barish Mein
 Kya Kuchh Khoya, Kya Kuchh Paya
 Barish Ki Ye Pehli Boondein
 Kaisa Jadu Karti Hain.

badal ne kal raat ko

badal ne kal raat ko

mujh ko roote dekha tha

yeh manzar us ko itna bhaya

ke raat se pani baras raha he

Ikk rat hue Barsat Bohat

Ikk rat hue Barsat Bohat

May Roei sari rat Bohat

Her Gum tha Zamany ka lekin

May Tanha thi es rat Bohat

Phir Ankh sy aik "SAWAN" Barsa

Jab Seher hue to khiyal aya

wo Badal kitna Tanha tha

Jo Barsa sari rat Bohat,,,

YE BARISHAIN BHI TUM SI HIAN

YE BARISHAIN BHI TUM SI HAIN

JO BARAS GAIN TOA BAHAR HAI

JO TEHAR GAI TO QARAR HAI

KABHI CHAA GAI YUNHI SHAB-O-ROAZ

KABHI SHOAR HAI...

KABHI CHUP SI HAIN

YE BARISHAIN BHI TUM SI HIAN!

KISI YAAD MAI

KISI RAAT KO...

AIK DABI HOI SI RAAKH KO

KABHI YUN HUAA KAY BUJHAA DIYAA

KABHI KHUD SE KHUD KO JALA DIYAA..

KABHI BONDH BOONDH MAI GUM SI HAIN....

YE BARISHIAN..............

BHI TUM SI HAIN!!!!!!!!!!!!

Kabhi Hum Bheegte

Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein...
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein...

Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna...
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein...

Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana...
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein...

Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai...
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein...

Raat hui kia jal thul barish

Raat hui kia jal thul barish
Dho gai sara kajal barish

Mein hoon dharti banjar payasi
Tum ho eik mukammal barish

Aao in aankhoon mein utro
Dekho meray sanwal barish

Sab per tumhara nam likha hay
Khushbu chand hawa jul barish

Do deewanay naach rahay thay
Eik mein aur eik pagal barish