کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Monday, November 19, 2012

Kabhi baarish barasti hai


Kabhi baarish barasti hai,

To mujh ko yaad aata hai.

Wo mujh sey aksar kehta tha,

Muhabbat aik baarish hai.

Sabhi pey jo barasti hai.

Magar phir bhi nahi hoti

Sabhi k waasty yaksan.

Kisi k waasty rahat,

Kisi k waasty zehmat.

Men aksar sochta hoon ab.

Wo mujh sey theek kehta tha.

Muhabbat aik baarish hai.

Sabhi pey jo barasti hai.

Kabhi mujh pey bhi barsi thi.

Magar mery liye baarish,

Kabhi na ban saki rahat.

Ye rahat kion nahi banti?

Kabhi men khud sey poochon to,

Ye dil daita duhaayee hai.

Kabhi kachy makanon ko bhi baarish raas aayee hai?

Tumhen jo be-sabab


Tumhen jo be-sabab mujh sey khafa hony ki aadat hai.

Ye aaghaaz-e-judai hai k andaaz-e-muhabbat hai?

Wafa k rang main daikho,jafa achi nahi hoti,

Kisi sey pyar main itni anaa achi nahi hoti,

Chalo ab maan bhi jaao,bohat si ho chuki ranjish,

Kisi din or kar laini ye poori tum apni khawahish,

Faqat kehny ki baatain hain,nibhata kon hai kis ko?

Chalo ab daikh laity hain,manata kon hai kis ko?



Koi ehsas

Koi ehsas bhi usko yaad nahi.

Koi baat bhi usko yaad nahi.

Ik shakhs ney usko chaha tha,

Wo zaat bhi usko yaad nahi.

Jab shab ki bijli chamki thi,

Or baadal toot k barsa tha,

Ham donon jis main bheegy they,

Wo barsaat bhi usko yaad nahi.

Wo sahil,darya,phool,hawa,

Wo wada saath nibhany ka,

Or shab bhar chand ko daikha tha,

Wo raat bhi usko yaad nahi.

Wo kehta tha men sunta' tha,

Men kehta tha wo sunta tha,

Un laakhon baaton main koi,

Ik baat bhi usko yaad nahi.

Yahan uljhy uljhy

Yahan uljhy uljhy roop bohat.

par asli kam,beh-roop bohat.

Us pairr k neechy kya rukna,

Jahan saya kam ho,dhoop ho bohat.

Chal "Insha" apny gaaon main.

Baithain gey sukh ki chaaon main.

Kion teri aankh sawali hai?

Yahan har ik baat niraali hai.

Is dais basaira mat karna,

Yahan muflis hona gaali hai.

Chal "Insha" apny gaaon main.

Jahan sachy rishty yaariyon k.

Jahan ghoongat,zewar naariyon k.

Jahan jharny komal sur waly,

Jahan saaz bajy bin taaron k.

Chal "Insha" apny gaaon main.

Jab men ney

Jab men ney us sey poocha tha,

Kya dhoop main barish hoti hai?

Wo hansty hansty rony lagi.

Or dhoop main barish hony lagi.

Wo naazuk si kali, murjha si gayee,

Or ro kar mujh sey kehny lagi,

Tum chorr na jana o sajan,

Dil torr na jana o sajan,

Tum kya jano dhoop ki barish,

Tum kya jano hijar k gham,

Jab tum door they mujh sey o sajan,

Mery hath ki choorri or kangan,

Jab geet tumhary gaaty they,

Mujhy yaad bohat tum aaty they,

Men hansty hansty roti thi,

Or dhoop main baarish hoti thi

Wo shakhs kabhi


Wo shakhs kabhi dasht sey guzry usy kehna.

Ik pal mery ghar main bhi thehry usy kehna.

Kehna k sumandar k kinary pey na jaye,

Kuch loag sumandar sey bhi hain gehry usy kehna.

Zar'khaiz zameenain kabhi banjar nahi hooteen,

Darya hi badal laity hain rasty usy kehna.

Is shehar main sach keh k gunah'gaar na hona,

K basti k sabhi loag hain behry usy kehna.



Suno logo



Suno logo, meri aankhain khareedo gey?

Mujhy ik khawab ka taawaan bharna hai.

Ik aisa khawab jo jaagti aankhon sey daikha tha,

Bohat hi chaao sey or kitny armaanon sey daikha tha,

Magar daikhy huey is khawab ki taabeer ulti thi,

Nahi shikwa kisi sey, apni hi taqdeer ulti thi,

Jo ab tak ho chuka hai mujh ko, wo nuqsaan bharna hai.

Ab aankhain baich kar hi khawab ka taawaan bharna hai.


Kaha tum ney,

Kaha tum ney,

mujhy dil sey bhula do tum.

Mita do tum.

Chalo men maan laita hoon,

Tumhen men apny is dil sey,

Bhula doon ga, mitaa doon ga.

Magar ik kaam to kar do,

K dariya k kinaaron ko,

Kisi soorat mila do tum.

Sitaary torr kar laa do,

Ya phir is phool sey khushbu,

Juda kar k dikha do tum.

Suno! Tum kar bhi lo aisa,

Kinaary jorr bhi laao,

Sitaary torr bhi laao,

Chaman k saary phoolon sey,

Juda khushbu ko kar do tum.

Magar men tum ko is dil sey,

Mita phir bhi nahi sakta,

Suno! Men mar to sakta hoon,

Bhula phir bhi nahi sakta.

Us simt chaly


Us simt chaly ho to bas itna usy kehna.

Ab koi nahi hai harf-e-tamanna usy kehna.

Duniya to kisi haal main jeeny nahi daiti,

Chahat nahi hoti kabhi ruswa usy kehna.

Us ney hi kaha tha to yaqeen men ney kiya tha,

Umeed pey qayam hai ye duniya usy kehna.

Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahi hoteen,

Darya hi badal laity hain rasta usy kehna.

Kuch log safar k liye mouzu nahi hoty,

Kuch raasty nahi kat'ty tanha usy kehna.



Kitaab-e-dil

Kitaab-e-dil main jo nafrat ka baab rakhta tha.

Wo chaahaton ka mukammal hisaab rakhta tha.

Fraib daita raha dil lagi k pardon main,

Wo shakhs chehry pey kitny naqaab rakhta tha.

Us k haathon main pathar dikhaai daity hain,

Jo apny haathon main har dam gulaab rakhta tha.

Wo shakhs jo bhatak'ta dikhaai daita hai,

Raah-e-wafa main qadam kaamyaab rakhta tha.

Kahan tlash karoon men us ko "Mohsin"?

Jo apni baat main apna jawab rakhta tha.