کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Monday, November 19, 2012

Wohi Aadat Hy Bachoon Jaisi,

Wohi Aadat Hy Bachoon Jaisi,

K Jistreh Koi Bcha,

Khilona Mangta Hy,

Khelta He Phenk Deta Hy,

Isi Treh Woh Mujh se He,

Mujhi Ko Mangta Hy,

Khelta He Phenk Deta Hy,

Mgr Jb Doosra Koi,

Mjhe Aa ker Uthaiy,

To Wo Aaker Haq Jatata Hy,

K Ye Mera Khilona Hy,

Usay Kaisy Mein smjhao,

Kisi K Pyaray Jazboon Se,

Is tarah Khela Nhi Krty,

Magr Kaisy woh Smjhay ga,

Abhi Us Shakhs Ki Shaid,

Wohi Aadat Hy Bachon Jaisi.

Mohabbat ki tabiyyat mein

Mohabbat ki tabiyyat mein

Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai

Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye

Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai

Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho

Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho

Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho

Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai

Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki

Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye

Aur shab mein baarha uthe

Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai

Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai

Ke ye iqrar ke lafzon ko sun?ne se nahi thakti

Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa?at ho

Ise bus aik hi dhun hai

Kaho, mujhse mohabbat hai

Tumhein, mujh se mohabbat hai

Kaho, mujhse mohabbat hai

Bas aik mafi

Bas aik mafi, hamari toba



Kabhi jo hum ab, sataein tum ko



Lo Hath jorey lo Kaan pakre



Ab or kesay mannaein Tum ko,



Tumhare Aate hi is nagar se



Mujhe raqabat c ho gai he



Me ye sharakat bhi kesy seh lon



K choo rahi hein hawaaein tum ko



Tum aina ho, or sang baari



Yahan k logon ka Mashgala he



Har ek pathar se dhaal ban kar



Bhala kahan tak bachaaein tum ko



To kya tum ab tak, Hamari nazroon



K sub taqazoon se,, Be-khabar ho



Hamein mohabbat hai tum se pyarey



Ab or kesay bataaein tum ko,



Bataein tum ko bichertey lamhey



Labbon ki larzish ka kya sabab tha



Suna tha waqt-e-qabooliat hai



So day rahe the duaeein tum ko



Bas aik mafi, hamari toba



Kabhi jo hum ab, sataein tum ko



Lo Hath jorey lo Kaan pakre



Ab or kesay mannaein Tum ko....!

Wo Aksar Mujh

Wo Aksar Mujh Se Kehta Tha
Tum Be Had Shor Machati Ho

Phir men us se kehti thi,
Jb pyar se mujhe bulao ge,
Tb dorr k men to aaongi,
Tb payal meri chanke gi
Payal ka shor to hoga hi

Jb meri qalaai pakro ge,
To choori meri khanke gi,
Choori ka shor to hoga hi

Jb bindya meri chamke gi,
Aankhon me tumhari damke gi,
Tb jazbe shor mchain ge,
jazbon ka shor to hoga hi

Mere jhumke se jb khelo ge,
Wo gaal ko mere choome ga,
Be chain se tum ho jao ge,
Ik lehar uthe gi seene mein,
Is lehar ka shor to hoga hi

Meri zulfon ko suljhate hue,
Mere gajre ko bikhrao ge,
Tb sansein tumhari mehkein gi,
Saanson ka shor to hoga hi

Jb pas mere tm ao ge,
Ik barq si tan me dorre gi,
Man behka sa hojae ga,
Hr dharkan shor machae gi,

Dharkan ka shor to hoga hi

Wo Aksr Mujh Se Kehta Tha
Tum Be Hadd Shor Machati Ho

apne dil ki halat


apne dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha,
usey kya gham tha wo kisi ko btata na tha,

logon ko hansane k wasty zindgi bita di us ne,
kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha,

jaane kis k intzar men baitha rahta tha subh-o-sham,
misl_e morat bana wo palak b jhapkata na tha,

aaj reh reh kar yaad aaya wo,
jo "dua de kar bhi dua" batata na tha...!!





Chalo Ham Maan

Chalo Ham Maan Lete Hain.
Tumhen Hum Kho Chuke Lekin.

Tumhari Yaad Ab Tak Bhi.
Hamen Betaab Rakhti Hai.

Hamaari Saans Ab Tak Bhi.
Tmhaari Aas Rkhti Hai.

Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain.
Tumhaari Raah Roshan Hai.

Tumhen Hai Mil Gaya Koi.
Magar Afsos..!b
Ham Jesa.. Agar Paao Kahin Tum To
.
Mujhe Do Lufz Likh Dena.. K....
MANZIL MIL GAI MUJH KO.

Thi gar aanay

Thi gar aanay mein maslehat hayil
Yaad aana koii zaroori tha?

Daikhiye ho gaii ghalat fehmi
Muskuraana koii zaroori tha?

Lijiye baat hi na yaad rahi
Gungunaana koii zaroori tha?

Gunguna kay mairi jawan ghazlein
Jhoom jaana koii zaroori tha?

Mujh ko paa kar kisi khayal mein gum
Chup kay aana koii zaroori tha?

Uf wo zulfein, wo naaganein, wo hansi
Yoon daraana koii zaroori tha?

Aur aisay eham mazaq kay baad
Rooth jaana koii zaroori tha?

wo kehti hai

wo kehti hai

Tujhe Dekh ke Khanakti hai kyun Meri Chooriyan ?

aur hum kehte hai

Inhe Mujhse Pyar Hai


hum poochte hai

Teri Tasveer Saaji hai DIL ke Aaina May

Barhne Na Denge Gham ke Kadam Tak

Mujhe Dekh ke Chamakti hai kyun Teri Bindiyan ?

Kya Inhe Mujhse Pyar Hai ?

aur wo kehti hai

Issey Tujhse Pyar Hai


Koi Dhunde Apne Khuda ko, Koi Apne Priya Ko

Apna Khuda Bhi, Apna Priya Bhi Mil Gaya Tujh mein Humko

Kar liye wade khai kasam tak, Sangam Hoga Janam Janam Tak

Koi waqt purana

Koi waqt purana yaad aya.

Koi dour sohana yaad aya.

Or chalk sey un deevaron par,

Kuch likh kar jana yaad aya.

Tera milna neem ki chaaon main,

Or sar rakh daina kandhy par,

Mera ye kehna,koi daikh na ley,

Tera wo ghabrana yaad aya.

Kabhi aisa bhi to hota tha,

Men tujhko chorrny jata tha,

Jab wapas aany lagta tha,

Tera hath hilana yaad aya.

Wo waqt gaya,beety lamhy,

Ab har janib tanhai hai,

Ab aik hi manzar aankhon main,

Tera chorr k jana yaad aya

Yaar bhi raah

Yaar bhi raah ki deewar samajhty hain mujhy.

Men samajhta raha sab yaar samajhty hain mujhy.

Men to yoon chup hoon k andar sey bohat khaali hoon,

Or sab loag pur'israar samajhty hain mujhy.

Men badalty huey haalat main dhal jaata hoon,

Daikhny waaly adaa'kaar samajhty hain mujhy.

Wo jo us paar hain, un k liye is paar hoon men,

Wo jo is paar hain, us paar samajhthy hain mujhy.

Naik loagon main mujhy naik gina jaat hai,

Or gunah'gaar, gunaah'gaar samajhty hain mujhy.