کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Monday, November 19, 2012

Aqs Khushbu Hun

Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi

Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi

Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi

Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi

Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?

Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi

Mohabbat Khuwab Hoti Hai

Mohabbat Khuwab Hoti Hai,

Mohabbat Baat Hoti Hai,

Jo Koi Poch Baithay To,

Mohabbat Raaz Hoti Hai,

Machalti Hui Umangoon Ka

Suhana Sath Hoti Hai,

Jo Koi Dhondna Chahay,

To Yai Nayab Hoti Hai,

Mohabbat Phool Hai Shayad,

Ghamoon Ki Dhool Hai Shayad,

Chamakti Raat Hai Shayad,

Kisi Ki Yaad Hai Shayad,

Mohabbat Pur Sukoon Bhi Hai,

Mohabbat Pehchan Hoti Hai,

Agar Mil Na Sakay To Phir,

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

Azaab-e-Jaan Hoti Hai.

Mohabbat Jeet Hoti Hai!

Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati Hai!
Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se
Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai
Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai
Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai
Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai
Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati

Yeh tum se keh

Yeh tum se keh diya kis ne
Kay tum bin reh nahi saktay

Yeh dukh, hum seh nahi saktay
 Chalo, hum maan laitay hai

Kay tum bin, hum buhat roye
Ke raaton ko na soye

Magar, afsos hai jana
Kay ab kay tum jo louto gey

Humain tabdeel paao gey
Buhat mayoos hogey tum

Kay agar poochhna chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne

Tou sunn loo ghour se jana
Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne

Tum Bin Jiya Jaye Kaise

Tum Bin Jiya Jaye Kaise

Kaise Jiya Jaye Tum Bin

Sadiyon Se Lambi Hai Ratein

Sadiyon Se Lambe Huye Din

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Phir Shamein Tanhaiiii Jagi

Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho

Phir Ja Niklne Lagi Hai

Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho

Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho

Is Dil Main Yadon Ke Mele Hai

Tum Bin Bahot Hum Akele Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Kya Kya Na Socha Tha Maine

Kya Kya Na Sapne Sajaye

Kya Kya Na Chaha Tha Dilne

Kya Kya Na Arma Jagaye

Kya Kya Na Sapny Sajaye

Is Dil Se Tufaan Guzarte Hain

Tum Bin Na Jeete Na Marte Hain

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Wo kehti hai suno jaana,

Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?

Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,

Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,

Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,

Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,

Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,

Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?

Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,

Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?

Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,

Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,

Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,

Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,

Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,

Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?

Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?

Wo kehti hai,
 Naveed jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,

Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,

Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!

KABHI JO HUM NAHI HON GAY...

KABHI JO HUM NAHI HON GAY...
kaho kis ko batao gay..
wo apni uljhanain sari
wo bechaini mein dobay pal..
wo ankhon may chupay ansoo
kisay phir tum dikhao gay..
kabhi jo hum nahi hon gay..
bohat bechain ho gay tum..
bohat tanha rah jao gay..
abhi bhi tum nahi samjhay..
hamari unkahi batain..
magar jab yaad aain gay
bohat tum ko rulaain gya..
bohat chaho gay pir bhi tum
hamain na dhond pao gay..
KABHI JO HUM NAHI HON GAY......

Khirki, Chand, Kitab Aur main



Khirki, Chand, Kitab Aur main

Khirki, Chand, Kitab Aur main
Muddat Se ik Baab Aur main

Shab Bhar Khailain Apus main
Do Ankhain ik Khawab Aur main

Mouj Aur Kashti, Sahil par
Deriya main Gardab Aur main

Shaam, Udasi, Khamoshi
Kuch Kankar, Talaab aur main

Har Shab Pakray Jatay hain
Ghari Neend Khawab Aur main..



Har shy ka soda hota he

Har shy ka soda hota he
Her cheez bikaau hoti he

Har fard yaha per taajir he
Har waqt tijaarit hoti he

Tum ap he apne daam kaho
Chup k nhi sar_e_aam kaho

Kya lo ge apni yari ka
Kya lo ge tum dildaari ka

Gham_khwar bno ge kitne men
Tum pyar kro ge kitne men

Sb jazbay meray naam kro
Ham naam tum apna daam kaho

Par daam chukane ki khatir
Ham apna daftar kholen to

Ham apni jaib tatolen to
Bus pyar mily ga thora sa

Azaar mily ga thora sa
Ye sikay yaha kb chalte hen

Kya udhar mily ga thora sa
Ye dunia bay_aitbarie ki

Ye arz he hr beyopari ki
Chal chor tamana jazboun ki

Bas souday hi dekh aaen ham
Ham khali hath hi aaye thay
Chal khali hath hi jayen hum.

Kbi wo pas hota

Kbi wo pas hota hay kbi wo door hota hay



kbi plkain bichata hay kbi mghror hota hay



kbi naraz hota hay sun kr guftgu mri



kbi khmoshion me B, bahot masroor hota hay



kbi wo faisla krta hay mujh se door rehny ka



kbi mry hwalay se wo khud mashhoor hota hay



kbi wo lena chata hay apny piyar ki qeemat

DOST

kbi bey daam bikna B, usy manzoor hota hay.