کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Monday, November 19, 2012

Loogon Ke Lye

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha

Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha

Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha

Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha

Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha

Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha

Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha

Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha
----------------------

Aainay Per Kubhi

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain

Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain

Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain

Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!

Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain

Qadar-e-Johar

Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait

Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait

Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait

Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait

Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ?
Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait

Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait

Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait

Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait

Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait

Mein Ke “Mohsin” Hun Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait

Ek Diya Dil

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena

Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena

Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena

Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna “Mohsin”
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena

Goya Andaaz

Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa

Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa

Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa

Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak “Mohsin”
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa

Karray Safar

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha

Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha

Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha

Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha

Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ?

Ajab Naseeb Tha “Mohsin” Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha

Jab Teri Dhunn

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay…!!

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay ..!!

Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay…!!

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!

Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar Tujhko..!!
Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay..!!

Jab Teray Dard mein Dil Dukhta Tha…!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay…!!

Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!

Apnay Jazboon Ki Kamandon Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh’noor Bhi Howa Kartey Thay…!!

Chalo tum sath


Chalo tum sath mat dena... Mujhy beshak bhula dena... Naye sapne saja lena... Naye rishte bana lena... Bhula dena sabhi waday Sabhi qasmen sabhi Naty... Tmhen jana! ijazt hay... Jo dil chahe wo sab karna.. Magar ab tum kisi se bhi..! Adhora Pyar Mat Karna..





MOHABBAT JEET

MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YEH HAAR JAATI HAI KABHI DIL SOZ LAMHON SE KABHI BEKAR RASMON SE KABHI TAQDIR WALON SE KABHI MAJBOR QASMON SE MAGAR YEH HAAR JATI HAI KABHI YEH PHOOL JAISI HAI KABHI YEH DHOL JAISI HAI KABHI YEH CHAND JAISI HAI KABHI YEH DHOOP JAISI HAI KABHI YEH MASROR KARTI HAI KABHI YEH ROOG DETI HAI KISI KA CHAIN BANTI HAI KISI KO ROND DETI HAI KABHI LE PAAR JATI HAI KABHI YEH MAAR JATI HAI MOHABAT JEET HOTI HAI MAGAR YEH HAR JATi HAI...

muhabbat phool hoti hay

muhabbat phool hoti hay,
muhabbat zehr hooti hay,

muhabbat boond bhar paani,
muhabbat dhaar hooti hay,

muhabbat dushman e jaan bhi,
muhabbat yaar hooti hay,

muhabbat jeet bhi shayad,
muhabbat haar hooti hay,

muhabbat takht hoti hay,
muhabbat daar hooti hay,

kabhi aisay bhi hoota hay,
muhabbat paas dikhti hay,
magar uss paar hooti hay