Tumhain kesay bataein hum
Mohabbat aur kahani mein koi rishta nahi hota
Kahani mein tu hum wapis bhi aatay hain
Mohabbat mein palatnay ka koi rasta nahi hota
Zara sochoo!
Kaheen dil mein kharashain dalti yadon ke saffaki
Kaheen daman say lipti hai
Kissi bhooli hoi sa'at ki nam naaki
Kaheen ankhoon kay khaimon mein
Charagh e khawb gul karnay ke sazish ko
Hawa daiti hoi raaton ki chalaki
Magar banda e khaki
Na janay kitnay firaunon say uljhi hai mairay lehjay ke bay baaki
Mujhay daikho!!
Mairay chehray pay kitnay mousmoon ke gard,
Aur is gard ki teh mein
Samay ki dhoop mein rakha howa aik aaina,
Aur aainay mein ta-had-e-nazar phailay
Mohabbat kay sitaray aks ban kar jagmagatay hain
Nai dunyaon ka rasta batatay hain
Isi manzar mein aainay say uljhee kuch lakeerain hain
Lakeeron mein kahani hai
Kahani aur mohabbat mein azal say jung jari hai
Mohabbat mein aik aisa mor aata hai
Jahaan kahani haar jati hai
Kahani mein tu kuch kirdar hum farz kartay hain
Mohabbat mein koi kirdar farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdar mil jul kar kaheen agay chalatay hain
Mohabbat apnay kirdaron ko khud agay barhati hai
Kahani mein kai kirdar zinda hi nahi rehtay
Mohabbat apnay kirdaron ko marnay nahi daiti
Kahani kay safar mein manzaron ki dhool urti hai
Mohabbat ki musafat rahgeeron ko bikharnay nahi daiti
Mohabbat aik shajar hai
Aur shajar ko is say kaya matlab
Keh us kay saye mein jo bhi thaka hara
Musafir aa kay baitha hai
Ab us ki nasl kaya hai, rung kesa hai
Kahan say aya hai kis simat jana hai
Shajar ka kaam tu bus chaon daina dhoop sehna hai
Isay is say gharz kaya hai..
Paraao dalnay waloon mein kis nay chaon ki taqseem ka jhagra uthaya
hai
Kahan kis ehad ko tora
Kahan wada nibhaya hai
Magar hum jantay hain
Chaon jab taqseem ho jaye
Tou jalti dhoop kay naizay rag o pay mein utartay hain
Aur is kay zakham khoorda log
Jeetay hain na martay hain.. !!

No comments:
Post a Comment
03457568685