Wo mujh ko likhta tha
Judaiyon ki udaas rut mein
Khafa na hona,
Main laot aaya to qurbaton k haseen mosam se.
Dil ka aangan sanwaar don ga,
Bahaar is mein utaar donga,
Main ly k aaon ga Sath apnay.
Muhabbaton k gulab mosam,
Wafa mein doobay seemab lamhay,
Tumhari khatir,
Magar...
magar wo aya,
Tu uzr laya, jawaz laya,
Wazahatoun ka mahaaz laya,
Mein jin dukhon ki tha inteha par
Wo phr se unka aaghaz laya..
Wo phr se unka aaghaZ laya...!
No comments:
Post a Comment
03457568685