کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Saturday, June 8, 2013

Mohabbat ki tabeeyat mein

Mohabbat ki tabeeyat mein
Yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai

Ke jitni puraani jitni bhi mazboot ho jaye
Issey taeed-e-taaza ki zaroorat phir bhi rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadd tak dilon mein lehlahaati ho
Nigaahon se tapakti ho, lahuu mein jagmagaati ho
Hazaaron tarah se dilkash haseen haale banati ho
Ussey izhaar ke lafzon ki haajat phir bhi rehti hai

Mohabbat maangti hai yun gawahi apney honey ki
Ke jaise tifl-e-sadaa shaam ko ek biij boye
Aur shab meinbauraa uthey
Zameen ko khod kar dekhey
Ke paudaa ab kahan tak hai

Mohabbat ki tabeeyat mein ajab takraar ki khuu hai
Ke yeh iqraar ke lafzon ko sun'ney se nahin thakti
Bikharney ki ghari ho ya koi milne ki sa'at ho
Issey bas ek hi dhun hai
Kaho mujhse mohabbat hai
Kaho mujhse mohabbat ha

No comments:

Post a Comment

03457568685