کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت----------------------------- کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ مممد نوید

Tuesday, November 27, 2012

short poetry part 2

Na koi fikar laahaq hai, na koi yaad hai baaqi,
Magar ye aakhri misra zara sa jhoot lagta hai.
*******************
Elaan-e-mout hua to logon ney kaha "Mohsin",
Acha hua k mar gaya, aksar udaas rehta tha.
*********************
Men fana ho gaya wo badla phir bhi nahi"FRAZ"
Meri wafa se bhi sachi thi nafrat us ki.
************
Men to khush fehmi men tha k men sab ko bhata hoon,
Men aziz to sab ko hoon magar zarorton ki tarha.
******************
Likhty hain naam hamara matti par or mita dety hain,
Un k liye ye khail ho ga magar hamen wo matti men mila dety hain.
*******************
Husn har baar shararat main pehal karta hai,
Baat barrhti hai to phir ishq k sar aati hai.
***********
Husn har baar shararat main pehal karta hai,
Baat barrhti hai to phir ishq k sar aati hai.
*************
Bach'pan ki wo ameeri na'jany kahan kho gayee,
Jab paani main apny bhi jahaz chala karty they
*********************
Unko maaloom hi nahi jazba-e-mohabbat kya hai,
Wo jo har baat pey kehty hain, Mohabbat ki qasam.
**************
Ik nawaly k liye men ney kiya jis ka shikar,
Wo prinda bhi kayee roz ka bhooka nikla.
*************
Guloon ko bhi nahi aaya abhi tak is tarha khilna,
Sawairy jis tarha wo neend sey be-daar hota hai.
****************
Ghareebon ki ye basti hai,kahan sey shokhiyan laaon?
Yahan bachy to rehty hain,magar bach'pan nahi rehta.
******************
Shayad koi taraash kar qismat sanwaar dey,
Yehi soch kar men umar bhar pathar bana raha.
*****************
Baarish hui to ghar k dareechy sey lag k ham,
Chup chaap, sogwaar tumhen sochty rahy.
**************
Guzar rahi hai tumhari kaisy? bicharr k ham sey, rula k hamko,
Haqeeqaton ko zaroor likhna, anaa ki khaatir chupa na laina
****************
Tum ney daikha hai kabhi chaand pey behta paani?
Men ney daikha hai ye manzar kisi rukhsaar pey aaj.
***************
Hoti hai laakh ghamon ki dawa neend bhi magar,
Hoty hain aisy gham bhi k sony nahi daity.
**************Maani na meri aik bhi, khud'sar hai tu aey Dil,
Ab khud hi tarrap, men to tera kuch nahi lagta.
********
Kehny waalon ka kuch nahi jaata,
Sehny waaly kamaal karty hain.
************
Naram naram phoolon ka rus nichorr laiti hain,
Pathar k dil hoty hain in titliyon k seeny main.
*****************
Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......
++++++++++++++++++++++++++
Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".
++++++++++++++++++++++++++
Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
+++++++++++++++++++++++
Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
+++++++++++++++++++++++
Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
+++++++++++++++++++++

No comments:

Post a Comment

03457568685